Saturday 28 July 2012

" WAQT NAHI "

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein. Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi,

Din Raat Daudti Duniya Mein.
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi,

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai. Par Maa Ko Maa Kehne Ke liye Waqt Nahi,

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke. Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi,

Saare Naam Mobile Mein Hain. Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi,

Gairon Ki Kya Baat Karen.Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi,

Aankhon Mein Hai Neend Badee. Par Sone Ka hi Waqt Nahi,

Dil Hai Ghamo Se Bhara Hua. Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi,

Paison ki Daud Me Aise Daude. Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi,

Paraye Ehsaso Ki Kya Kadar Karein. Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi,

Tu Hi Bata Ae Zindagi.
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,

"Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi!!"..

No comments:

Post a Comment