Monday 20 January 2014

लकीरें भी बड़ी अजीब होती हैं------ माथे पर खिंच जाएँ तो किस्मत बना देती हैं जमीन पर खिंच जाएँ तो सरहदें बना देती हैं खाल पर खिंच जाएँ तो खून ही निकाल देती हैं और रिश्तों पर खिंच जाएँ तो दीवार बना देती हैं.. * Hayaa ( Sharam ) Ki Kashish, Khoob'surati Se Ziyada Hoti Hai * Rona Dil Ko Roshan Karta Hai. * Maa Aur Baap Ki Khidmat Dono Jahan Me Kaam Aati Hai. * Aulaad Ke Liye Jo Cheez Ghar Lao To Pehle Ladki Ko Do, Fir Ladke Ko. * Duniya Me Sab Se Ziyada Khatarnaak, Jawaani Ka Gussa Hai. * Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Kyun Ke Tum Bhi Dil Rakhte Ho. * Bolna Chaandi Ki Tarah He Aur Khamosh Rehna Sona (Gold) Ki Tarah Hai. * Kisi Se Milte Waqt Muskurana Sadqa Hai. * Gunaah Se Bachna Sab Se Badi Neki Hai. * Hamesha Sach Bolo Taake Tumhe Qasam Khaane Ki Zaroorat Na Pade. 1. Janwar main Aqal aur farishtey main Khwahish nai hoti magr Insan main dono hoti hain. Agar wo aqal ko daba dey toh janwar aur agar khwahish ko daba ley toh farishta. 2. Insan eik dukan hai aur Zuban us ka taala. Taala khulta hai to maloom hota hai k dukan soney ki hai ya koiley ki. 3. Insan buzdil itna hai k sotey huwe khuwab main bhi dar jata hai aur be-waqoof itna k jaagtey huwe bhi apne Allah sey nahi darta. 4. Dunya naseeb sey milti hai aur aakhiret mehnat sey magr aaj hamari sari mehnat dunya ke liye hai aur aakhirat ko hum ne naseeb per chhor diya hai.... Dua mei yaad....

No comments:

Post a Comment