Sunday 3 November 2013

Insaan Ki Haqiqat Kya Hai....??? . Insan Apni Marzi K Bina Duniya Me aata Hai, Aur Apni Marzi Ke Bina yahan se chala jata Hai. . Bachpan Me Farishta Jawani Me shaitan Aur Budhapey Me Bewaqoof samjha jata Hai. . Ghareeb Hai To Fizool Hai, Ameer Hai To Maghroor Hai, Kheraat Karta Hai To shohrat Ka Bhooka, Nahi Kare To Kanjoos Hai. . Mazhab Parast Hai to jahil kehlata Hai. Mazhab se Door Hai To Gunahgar Hai. . Duniya Me Aata Hai To Har Koi use Choomna Chahta Hai, Marne K Bad Har Koi Usse jaan Chhurana Chahta Hai. . Pedaish K Waqt Khud Rota Hai, Aur Marte Waqt Sab Ko Rulata Hai. . Aakhir is insan Ki Haqeeqat hai kya ? . Aate waqt (at the time of birth)AZAAN or jate waqt (at the time of death)NAMAAZ. —

No comments:

Post a Comment