Tuesday 16 April 2013

A very beautiful poem on today's fast life.
      "WAQT NAHI"
 
Har khushi hain logo ke daman me,
par ek hasi ke liye waqt nahi. 

Din raat daudti duniya me,
zindagi ke liye hi waqt nahi.

Maa ki loree ka ehsaas toh hain,
par maa ko maa kehne ka waqt nahi. 

Saare rishto ko toh hum maar chuke,
ab unhe dafnane ka bhi waqt nahi. 

Saare naam mobile me hain,
par dosti ke liye waqt nahi.

Gairon ki kya baat kare,
jab apno ke liye hi waqt nahi. 

Aankhon me hain neend badi,
par sone ka waqt nahi.

Dil hain ghamo se bhara hua,
par rone ka bhi waqt nahi.

Paiso ki daud me aise daude ki,
thakne ka bhi waqt nahi.

Paraye ehsaso ki kya qadar kare,
jab apne sapno ke liye hi waqt nahi.  

Tu hi bata aey zindagi,
is zindagi ka kya hoga.

Ki har pal marne walo ko,
jeene ke liye bhi waqt nahi..!!

No comments:

Post a Comment